Fir Se Aa Jaao Zindgani Mein, Shayari

Fir Se Aa Jaao Zindgani Mein,
Jaise Hota Hai Ek Kahani Mein,
Meri Najron Mein Hakk Hain Dono,
Ashq Mein Dubna Ya Paani Mein,
Fark Kya Hai Ke Dono Royenge,
Tum Budhape Mein Hum Jawani Mein,
Jo The Zinda Teri Wafa Mein Bhi,
Mar Gaye Teri Mahar Baani Mein.

Related Shayari: